~*Teray Bagair Eid*~ Koi Bhi Mosam ho Koi Bhi Rut ho Apni to aadat hay Tumhein yaad barabar krna ! Teri Justaju Teri Umeed krna… Tumhare aany pe Khushi mazeed Krna…. Ab to mumkin hi nahi Teray Bagair Eid Krna..!
NAZAMI Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo
Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..! Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..! Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..! Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..! Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..! Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..! Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..! Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..! Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..! Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!
Bas tum !! Udas na hona Zindagi ki Rahon mein Oonch neech hoti hay, Faaslay bhi bharty hain Chahatain bhi lut thi hain Rait kay toofano mein ...... Siskiyan bhi rulti hain Ye bhi ain mumkin hay Aj hum ikatt’hy hain Kal koi sath ho na ho chahay kuch bhi ho jaye Hoslon ko na khona Bay waja bhi na rona BAS! TUM UDAS NA HONA...! :-)
Dost teri dosti pe naaz karte hai, Har waqt milne ki fariyaad karte hai, Hamei nahi pata, gharwale batate hai, Ke hum neend mei bhi aapse baat karte hai…
Jo dil ke karib hi nahi saanso me base ho, Dost sache agar sath ho to roya nahi karte. Jo ho jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai, Gum me bhi sukun de ese doston ko khoya nahi karte…
Rishton Ki Dori Kamzor Hoti Hai Aankho Ki Baatein Dil Ki Chor Hoti Hai Kisi Ne Jab Bhi Pucha Friendship Ka Matlab Hamari Ungli Aapki Aur Hoti Hai Pal Bhar Mein Toot Jaye Voh Kasam Nahi Apne Friend Ko Bhool Jayein Voh Hum Nahi Tum Hume Bhool Jao Is Baat Mein Bhi Dum Nahi Kyon Ki Tum Hume Bhool Jao Itne Bure Hum Nahi Kuch Meethe Pal Yaad Aate Hain Palko Par Aansu Chor Jate Hain Kal Koi Aur Mil Jaye Toh Hume Na Bhool Jana Friendship Ke Relation Zindagi Bhar Kaam Aate Hain
*NAZAMI JEE* Bikharti Zulf ki Parchaiyan Mujhe De Do, Tum Apni Sham ki Tanhaiyan Mujhe De Do, Main Tumko Yaad Karun Aur Tum Chale Aao, Tum Apne Pyar ki Sachaiyan Mujhe De Do, Main Doob Jaun Tumhari Udaas Aankhon Main, Tum Apne Dard kee Gehraiyan Mujhe De Do.
YE HADE'N NA TOR DENA,MERE DAIRE MAIN REHNA MUJE APNE DIL MAIN RAKHNA,MERE HAFZE MAIN REHNA MERA BOJ KHOD UTHANA,MERA KARB AAP SEHNA MERE ZAKHAM BANT LENA,MERE RAT JAGE MAIN REHNA MERA HUKAM KHOD SUNANA,MERI MUHER KHOD LAGANA MERE MASHWARE MAIN HONA,MERE FAISLE MAIN REHNA MERE MANZARON MAIN BASNA,MERI GUFTUGU MAIN HONA MERE LAMAS MAIN SAMANA,MERE ZAIQE MAIN REHNA KABHI DHOOP K NAGER MAIN MERA SAATH CHOR JANA KABHI MERA AKS BAN KER MERE AAINE MAIN REHNA KABHI MANZILON KI SOORAT MERI DASTARAS SE BAHIR KABHI SANG-E-MEEL BAN KER MERE RAASTE MAIN REHNA MERE HAATH KI LAKEEREN TERA NAAM BAN K CHAMKEN MERI KHAWAISHON KI KHOSBOO,MERE ZAICHE MAIN REHNA
Sukun apne dilka maine kho diya, Khud ko tanhai ke samandar mei dubo diya, Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah, Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya…
Humse pucho kya hota hai pal pal bitana, Bahut mushkil hota hai dil ko samjana, Yaar zindagi toh beet jayegi, Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana…
Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahan? Tum wehem ho to mujh ko haqeeqat say kia gharz Tum ba'is-e-safar ho huner ki urraan ho Tum neend ho to so ke guzarain gay yeh hayaat Tum husun ho to mere takahyyul ki jaan ho Tum raat ho to mujh ko kahan subha ki talab Tum noor ban ke dil main samaye ho aaj-kal Tum khaak ho to khaak nasheenoon ki ho talaash Tum derd ho to rooh pe chhaaye ho aajkal Tum dasht ho to main bhi musafir hoon dasht ka Tum chand ho to talkh andhairon ki kia fiker Tum bay niyaaz ho to zamaney say ho alag Tum rang ho to phir yeh baharon ka ziker kiya Tum bay-samar rutton main baharoon ki ho umeed Tum reh guzaaar-e-shoq main jazba junoon ka Tum aarzoo ho Ehl-e-tamanna ki ho khalish Tum rat-jagon ki bheerr main lamha sukoon ka Tum baywafa rutton main hawala ho ishq ka Tum baybasi ho phir bhi muheet- e-hayaat ho Tum ik kiran ho noor-e-azal say dhuli hoi Tum taazgi ho shabnami phoolon ki aas ho Tum gehrey paaniyon main chupey motiyon ka lams Tum meri chashm-e-nam main sitaron ki kehkashaan Tum husn-e-baymisaal meri kaayenaat ho Tum jab say ho gaye ho meri dastaras say door Main ji raha hoon kiun keh zaroori hay zindagi Sanson ke bojh ko bhi uthana hai rooh ne....... Lekin Tere Baghair Adhoori Hay Zindagi....!!!